Markaz-E-Ahle Sunnat Ka Paigham Qaum-E-Muslim Ke Naam 2021

Markaz-E-Ahle Sunnat Ka Paigham Qaum-E-Muslim Ke Naam 2021

Urdu 

مرکز اہل سنت کا پیغام قوم مسلم کے نام
حامدا ومصلیا ومسلما
مسلمان بھائیوں!ہم جس دور میں جی رہے ہیں وہ فتنہ وفساد اور بے راہ روی کادورہے،ہر طرف سےدین وسنیت پرحملےہورہےہیں، دشمنان اسلام ہماری نسل کے ایمان وعقیدے اور عزت وآبرو کو برباد کرنے میں لگے ہیں جن کی زد میں خاص کر اسلام کی وہ بھولی بھالی بچیاں آرہی ہیں جو عصری اداروں، اسکولوں اور کالجوں میں پڑھتی یا پڑھاتی ہیں یا پھر سرکاری اور پرائیویٹ سیکٹروں میں نوکری کرتی ہیں اور دینی تعلیم اور اسلامی تہذیب وکلچر سے ناواقف ہیں۔اور یہ سب کچھ “آزادی نسواں ” کے نام پر ہورہا ہے جس کے اعتبار سے لڑکیوں کا بے پردہ نکلنا، غیر محرم کے ساتھ اختلاط، حتي کہ غیر مسلموں سے بات چیت کرنا میل جول رکھنا کوئی عیب نہیں ہے۔ جس کا برا انجام یہ ہوتا ہے کہ مسلم بچیاں ایمان وکفر کا فرق کیے بغیر بہت سارے موقعوں پر غیر مسلموں کے ساتھ شادیاں رچالیتی اور ان کے ساتھ ہی زندگی گزارنے کا فیصلہ کرلیتی ہیں العیاذ باللہ جو ہر طرح خسارہ ہی خسارہ ہے۔ اور اسکی وجہ سے گھر ،خاندان،اور پوری قوم کو شرمندہ ہونا پڑتا ہے۔ اس گناہ میں اولاد کے ساتھ گھر والے بھی برابر کے ذمہدار ہیں چونکہ حدیث پاک کے مطابق ہر شخص اپنے ماتحت لوگوں کا ذمہ دار ہے کوتاہی برتنے کی صورت میں کل بروز قیامت اس سے سوال ہوگا، عورتیں نازک شیشہ کی طرح ہیں ان کو سدھارنا اور اسلامی ماحول میں ڈھالنا بڑوں کی ذمہ داری ہے۔
ان خرابیوں کو دور کرنے کی چند تدبیریں ہیں جن کو بروئے کار لاکر ایک پاکیزہ معاشرہ تیار کیا جاسکتا ہے۔۔


1. بچپن ہی سے بچے اور بچیوں کو دنیاوی تعلیم کے ساتھ دینی تعلیم بھی ضرور دی جائے جسکی صورت یہ ہے کہ محلے اور بستی میں موجود مسجد ومکتب کے اساتذہ سے مذہبی تعلیم وتربیت دلوائی جائے۔ماں باپ خود بھی نیک اعمال کریں اور اپنی زندگی اسلامی ماحول میں گزاریں اور بچوں کو بھی اسی ماحول میں پروان چڑھائیں۔ چونکہ بچے شعوری وغیر شعوری طور پرماں باپ کی بات سے زیادہ ان کے کردار کو لیتے ہیں۔


2. ماں باپ خود بھی گاہے بگاہے بچوں کے ذہن وفکر کا جائزہ لیتے رہیں کہ کہیں اسکول کے ماحول نے ان کی فکر کو خراب تو نہیں کردیاہے اور موبائل کے بے جا استعمال سے بچوں کو دور رکھیں۔۔
3. ان کے اخلاق وعادات، رہن سہن اور ہم جولیوں پر بھی نظر رکھیں کہ انسان ماحول کی پیداوار ہے جیسا ماحول پاتا ہے ویسا ہی کرتا ہے۔
4. ماں باپ بچوں پر حد درجہ بھروسہ نہ کریں بلکہ خود بھی عقل سے کام لیں چونکہ شیطان ہر لمحہ بہکانے میں لگا ہے حدیث پاک میں ہے: شیطان انسان کے جسم میں ایسے ہی دوڑتا ہے جیسے خون رگوں میں دوڑا کرتا ہے۔۔
5. شادیوں کو آسان بنائیں چنانچہ حدیث پاک میں ہے” بہترین شادی وہ ہے جس میں کم سے کم خرچ ہو”
6. اولاد کے بالغ ہونے پر ان کی شادیوں میں جلدی کی جائے چونکہ حدیث پاک میں ہے:
7“تین چیزوں میں دیر نہ کرو، نماز میں، جنازہ میں اور مناسب رشتہ ملنے پر بچی کی شادی کرنے میں۔
8. بھلائی کا حکم دینا اور برائی سے روکنا اس امت کا خاص وصف ہے لھذا ماں باپ کے ساتھ مل کر محلے ،پڑوس، قبیلے اور بستی کے بااثر لوگ کفار کے چنگل میں پھنسی ہوئی بچیوں کو راہ راست پر لانے کی بھر پور کوششیں کریں کہ کسی ایک کو راہ راست پر لانا سرخ اونٹ ذبح کرنے سے بہتر ہے۔
9. مساجد ومکاتب اور مدارس کے ائمہ واساتذہ اپنی اپنی ذمہ داریاں محض ڈیوٹی سمجھ کر نہ کریں بلکہ خلوص وللہیت کے ساتھ خدمت دین متین سمجھ کر کریں چونکہ آپ کو اللہ پاک نے دین کی خدمت کے لیے چن لیا ہے اسی لیے آپ کو علم دین کی دولت عطا فرمائی ہے۔
10.ائمہ، اساتذہ، خطبا اور واعظین حالات زمانہ اور وقت کی ضرورت کے مطابق بلا کسی خوف وخطر کے عملی اقدامات کریں اور معاشرے کی خرابیوں کو دور کرنے میں بھر پور کوشاں رہیں اور ان امور کو انجام دینے میں مرکز اھل سنت بریلی شريف کی رہنمائی بھی لیتے رہیں۔
11. مساجد ومکاتب اور مدارس کے اراکین وذمہ داران دینی کاموں میں اماموں اور مذہبی پیشواؤں کا بھر پور تعاون کریں۔
12. مسجدوں کے ذمہ داران اماموں کو بد مذہب کا نکاح وجنازہ پڑھوانے پر مجبور نہ کریں اور ناہی رد بدمذہباں کرنے سے روکیں کہ دشمنان دین اور گستاخان رسول صلی اللہ علیہ وسلم سے عداوت رکھنا تقاضائے حب نبوی اور ایمان کا حصہ ہے۔
13. مساجد ومکاتب اور مدارس کے لیے ایسے ہی ائمہ واساتذہ منتخب کیے جائیں جو مذہب حق اھل سنت مسلک اعلیٰ حضرت کے سچے پکے ترجمان اور پاسبان ہوں نیز ان پاکیزہ مقامات کے ذمہ داران بھی مذہب ومسلک کا درد رکھنے والے ہونے چاہییں تاکہ وہ دینی کاموں میں مفاد پرستی اور بے جا مصلحت پسندی کا شکار نہ ہوں۔
           فقیر محمد عسجد رضا خان قادری بریلوی غفرلہ 


Roman English 

Markaz-E-Ahle Sunnat Ka Paigham Qaum-E-Muslim Ke Naam (1443)

hāmidaw-wa musallīyan wa musalliman

Musalman bhaiyon! Hum jis daur mein jee rahey hain woh fitnah o fasaad aur be raah rawi ka daur hey. Har taraf se deen o sunniyat par hamley ho rahey hain. 

Dushmanaan-e-islam hamari nasal ke imaan o aqeedey aur izzat o aabru ko barbaad karne mein lagey hain jin ki zid mein khaas kar islam ki woh bholi bhaali bachiyan aa rahi hain jo asari idaaron, 

schoolon aur collegeon mein parhti ya parhaati hain ya phir sarkaari aur private sektaron mein nokari karti hain aur deeni taleem aur islami tahzeeb o culture se nawaqif hain. 

Aur yeh sab kuch “azadi niswan” ke naam par ho raha hai jis ke aitibaar se larkiyon ka be pardah nikalna, ghair mehram ke saath ikhtilaat, hatta ke ghair muslimon se baat cheet karna meyl jol rakhna koi aib nahi hai. Jis ka bura anjaam yeh hota hai ke muslim bachiyan imaan o kufr ka farq kiye baghair bohot saaray moqaon par ghair muslimon ke sath shaadiyan racha leti aur un ke sath hi zindagi guzaarne ka faisla karleti hain al-iyaadhu billah jo har tarha khasaara hi khasaara hai. Aur uski wajah se ghar, khaandaan, aur poori qaum ko sharmindah hona parta hai. 

Is gunah mein awlaad ke sath ghar walay bhi baraabar ke zimme daar hain chunkay hadith-e-paak ke mutaabiq har shakhs apne maa tehet logon ka zimma daar hai kotahi baratnay ki soorat mein. Kal ba roz qiyaamat is se sawaal hoga. 

Aurtain naazuk sheeshah ki tarha hain. Un ko sudhaarna aur islami maahol mein dhaalna baron ki zimma daari hai.

Un kharaabiyon ko door karne ki chand tadbeerein hain jin ko barooay-e-kaar lakar aik paakeezah muaashrah tayyaar kiya jaa sakta hai. 

Bachpan hi se bachay aur bachiyon ko dunyawi taleem ke sath deeni taleem bhi zaroor di jaaye jiski soorat yeh hai ke mahallay aur basti mein maujood masjid o maktab ke asaatizah se mazhabi taleem o tarbiyat dilwaai jaye .

2
Maan baap khud bhi naik aamaal karen aur apni zindagi islami mahol mein guzaarain aur bachon ko bhi isi maahol mein parwaan charhaayen chunkay bachay shaoori o ghair shaoori taur par maan baap ki baat se ziyaadah un ke kirdaar ko letey hain .

3
Maan baap khud bhi gaahay bagaahay bachon ke zehen o fikar ka jaaiza letay rahen ke kahin school ke maahol ne un ki fikar ko kharaab to nahi kar diyaa hai aur mobile ke be jaa istemaal se bachon ko door rakhen.

4
Un ke akhlaaq o aadaat, rehen sehen aur hum joliyon par bhi nazar rakhen ke insaan maahol ki pedawaar hai. Jaisa maahol paata hai waisa hi karta hai .

5
Maan baap bachon par had darjah bharosa nah karen balkay khud bhi aqal se kaam len chunkay shaytan har lamha behkaanay mein lagaa hai hadith-e-paak mein hai: “shaytan insaan ke jism mein aisay hi dorta hai jaisay khoon ragon mein dora karta hai.”

6
Shaadiyon ko aasaan banaayen. Chunaanchey hadith-e-paak mein hai: “behtareen shaadi woh hai jis mein kam se kam kharch ho. “

7
Awlaad ke baaligh honay par un ki shaadiyon mein jaldi ki jaaye chunkay hadith-e-paak mein hai: “teen cheezon mein deyr nah karo, namaz mein, janaaze mein aur munaasib rishta milnay par bachi ki shaadi karne mein.”

8
Bhalaai ka hukm dena aur buraai se rokna is ummat ka khaas wasf h. Lihaaza maan baap ke sath mil kar mahallay, paros, qabeeley aur basti ke baa asar log kufr ke changul mein phansi huwi bachiyon ko raah-e-raast par laane ki bhar poor koshishen karen ke kisi aik ko raah-e-raast par laana surkh oont zibah karne se behtar hai.

9
Masaajid o makaatib aur madaaris ke aimmah o asaatizah apni apni zimma daariyan mehez duty samajh kar nah karen balkay khuloos lillaahiyat ke sath khidmat-e-deen-e-mateen samajh kar karen chunkay aap ko Allah paak ne deen ki khidmat ke liye chunn liya hai isi liye aap ko ilm deen ki doulat ataa farmaai hai.

10
Aimmah, asaatizah, khutabaa aur waaizeen haalaat-e-zamaana aur waqt ki zaroorat ke mutaabiq bilaa kisi khauf o khatar ke amali iqdaamaat karen aur muaashray ki kharaabiyon ko door karne mein bhar poor koshaan rahen aur un umoor ko anjaam dainay mein markaz ahl-e-sunnat bareilly shareef ki rahnumaai bhi letay rahen.

11
Masaajid o makaatib aur madaaris ke araakeen o zimme daaraan deeni kaamon mein imaamon aur mazhabi peshwaaon ka bhar poor taawun karen.

12
Masjidon ke zimme daaraan imaamon ko bad mazhab ka nikah o janaaza parhwaane par majboor nah karen aur naahi radd-e-badmazhabaan karne se rokain ke dushmanaan-e-deen aur gustaakhaan-e-rasool sala-llahu alayhi wasallam se adaawat rakhna taqaazaye hub-e-nabwi aur imaan ka hissa hai.

13
Masaajid o makaatib aur madaaris ke liye aisay hi aimmah o asaatizah muntakhab kiye jayen jo mazhab-e-haq ahl-e-sunnat maslak-e-aala hazrat ke sachey pakkay tarjumaan aur paasbaan hon. Neez un paakeeza maqaamaat ke zimme daaraan bhi mazhab o maslak ka dard rakhnay walay hone chaahiyen taakay woh deeni kamon mein mafaad parasti aur be jaa maslehat pasandi ka shikaar nah hon .

Faqeer Muhammad Asjad Raza Khan Qadiri Barelvi 

(ghufira lahu)

English 

A Message From the Headquarters of ‘Ahl Al-Sunnah for the Muslim Nation (1443)

While praising [Allāh], and sending blessings & salutations [upon His Beloved]

Muslim Brothers! The era we are living in is a time of corruption, destroyal, and misguidance. The religion and ‘Ahl al-Sunnah are being attacked from all angles. The enemies of Islām are busy destroying the faith, creed, honor, and dignity of our generation. The innocent daughters of Islām who study or teach in modern institutions, schools, and colleges or work in the federal and private sectors are especially influenced by them and are unfamiliar with religious education and Islamic culture. All this is happening in the name of “feminism.” According to which there is no wrong in females going out uncovered, mixing with non-maḥrams, and even conversing and interacting with non-Muslims is not considered a flaw. The unfortunate result of this is that Muslim females, on many occasions, marry non-Muslims without minding any distinction between faith and disbelief. They then decide to live with them, al-`iyādhu bi-Allāh, which is failure in every way possible. Due to this, the home, the family, and the entire nation are forced to be ashamed. In this sin, the family is equally responsible along with the children, because according to a sacred ḥadīth, everyone is responsible for their subordinates. In the case of negligence, they will be questioned on the Day of Resurrection. Females are like sensitive glass. Correcting them and bringing them into the Islamic environment is the responsibility of the elders.

Here are some suggestions that can result in the development of a pure society if implemented:

1
From childhood, boys and girls must be given religious education along with secular education. This can be done by allowing the teachers of local mosques and schools to provide religious education and training.

2
Parents themselves should do good deeds and live their lives in an Islamic environment and raise their children in the same environment. This is because children consciously and unconsciously tend to learn from their parents’ actions more than their word.

3
Parents themselves should analyze the minds and attitude of their children from time to time to make sure the school environment has not spoiled their mentality. Also, keep the children away from useless activity on cell phones.

4
Keep an eye on their morals, habits, lifestyle, and peers, since man is a product of the environment and practices what he finds in it.

5
Parents should not hold absolute trust in their children, rather they should use their own intellect, since the shayṭān is continuously trying to misguide them. It comes in a sacred ḥadīth that, “The shayṭān runs in the human body just as blood runs in the veins.”

6
Make marriage easy, as the sacred ḥadīth states, “The best marriage is the one that has the least expenses.”

7
When children become mature (bāligh), haste in their marriages, as the sacred ḥadīth states, “Do not delay in three things, in prayer, in funeral, and in marrying a daughter upon receiving an appropriate proposal.”

8
Enjoining good and forbidding evil is a special characteristic of this ‘ummah. Therefore, hand in hand with parents, the influential people of neighborhoods, communities, families, and towns should make every effort to bring the females trapped in the jungle of the infidels back to the right path, since leading one to the right path is better than slaughtering a red camel.

9
Imāms and teachers of mosques, schools, and madrasas should not fulfill their responsibilities merely as a duty. Rather, they should do so with sincerity and for the sake of Allāh, considering it a service to the established religion. As Allāh, the Exalted, has chosen you to serve the religion; hence He has granted you the treasures of religious knowledge.

10
Imāms, teachers, lecturers, and preachers should take practical steps according to the age’s circumstances and the era’s demands, without any fear or worry. They should do their best to remove the evils of society and also continue to take guidance from the headquarters of ‘Ahl al-Sunnah, Bareilly Sharīf, in carrying out these matters. 

11
Members and officials of mosques, schools, and madrasas should fully support the Imāms and religious leaders in religious affairs.

12
Those in charge of the mosques should not force the Imāms to conduct marriages or funerals of the deviants, nor should they forbid them from dismissing the deviants because enmity towards the enemies of Islām and the blasphemers of the Messenger (may Allāh shower blessings and salutations upon him) is an essential part of loving the Prophet and faith.

13
Only such Imāms and teachers should be appointed in mosques, schools, and madrasas who prove to be loyal and firm spokesmen and guardians of the true religion, ‘Ahl al-Sunnah, the path of A`lā Ḥazrat. Furthermore, appointed officials of these sacred facilities should also be compassionate towards this religion and path so that they are not motivated by self-gain and useless expediency while serving the dīn.

Faqīr Muhammad Asjad Raza Khan Qādirī Barelvi

(may he be forgiven)


Barelvi Network 

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Previous
Next Post »

Thanks شکریہ
Mahil Razvi Markazi ConversionConversion EmoticonEmoticon

Search This Blog

Contact Form

Name

Email *

Message *